14 September Hindi Diwas Essay | Hindi Divas Speech

14 September Hindi Diwas Essay In Hindi | Hindi Divas Speech And Slogans,14 Sep Hindi Day Nibandh For School Children.

Har Varsh 14 September ko desh main hindi diwas manaya jaata hei. Yeh Matra nhi balki yeh apni matrabhasha ko samman dilaney ka din hai. Ush bhasha ko samman dilaney ka jishey lagbhag ¾ hindushtan samjhta hei. Jish bhasha ney desh ko savtantrata dilaney mein ahem bhumika nibhai. Yeh din hindi bhasha ke liye samarpit hei.hindi bhasha prem,Milan aur soharad ki bhasha hei. Yeh mukhya rup sey aaryon aur parsiyon ki den hei, hindi ke adhiktar sabd Sanskrit,arbi aur farsi bhasha se liye gaye hain.hindi apney aap mein 1 samarth bhasha hai.

Hindi humari matrabhasha hai,jab baccha paida hota hai toh veh aas paas sunai deney wali awaazon se hindi ka gyan prapt krta hai.bharat mein adhiktar gharon main hindi bhasha ka bolchal hai.aise main bhartiya bacha hindi ko assani sey sikh leta hai.


Magar aaj bharat mein jo bacha English nhi bol pata toh ushe ganwar samjha jata hai. Ishliye ab abhivavk apney bacho ko hindi ke bajaye English sikhane lag gaye hai aur hindi ko doyam darze ka mana jata hei.
thumbnail
Title: 14 September Hindi Diwas Essay | Hindi Divas Speech
Rating: 100% based on 99998 ratings. 10 user reviews.
Post by

Related articles ESSAY :

0 comments:

Post a Comment

 
Copyright © 2015. About - Web Version - Mobile Version Sitemap - Contact - Privacy