Prem Bhakti Poem In Hindi | Short Bhakti Kavita

Prem Bhakti Poem In Hindi | Short Bhakti Kavita In Hindi.

Tann-Mann-Dhann Jab Arpan Krke, Ham Ish Jag Mein Rehten Hein
“Main” Ko Chhor K “Tu” Honey Ko Prema-Bhakti Kehten Hein

Na Koi Vairi Na Hi Begana, Sab Apney Hi Lagtey Hein
Prem Ki Dhun Sey, Andhkar Mein, Gyan K Deepak Jagtey Hein
Prem K Pankh Laga K Jab Ham, Prabhu Bhakti Mein Behten Hein
“Main” Ko Chhor K “Tu” Honey Ko Prema-Bhakti Kehten Hein

Meera Peekey Prem Pyaala, Prabhoo Bhakti Mein Khoi Thi,
Pathar Sey Hua Prakt Prabhoo, Dhanney(Dhanna Bhagat) Ki Dharti Boi Thi
Aaisi Avstha Mein Manav K Sukh Or Dukh Sab Dahteyn Hein
“Main” Ko Chho K “Tu” Honey Ko Prema-Bhakti Kehte Hein

Yeh Hai Prem Ki Aeisi Avastha, Jiska Koi Anth Nhin
Prem Beena Bhakti Ho Toh Pheer, Sant Bhi Hota Sant Nhin
Prem Mein Jeevan Jeetey Hue Jab, Tuhi Tuhi Kehten Hein
“Main” Ko Chhor K “Tu” Honey Ko Prema-Bhakti Kehten Hein.
thumbnail
Title: Prem Bhakti Poem In Hindi | Short Bhakti Kavita
Rating: 100% based on 99998 ratings. 10 user reviews.
Post by

Related articles POEM :

0 comments:

Post a Comment

 
Copyright © 2015. About - Web Version - Mobile Version Sitemap - Contact - Privacy